Monday, October 19, 2009

Sitaro Tum To So Jao

Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaro Tum To So Jaao
Sakoot-e-Marg Taari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Hanso Aur Hanstey Hanstey Doob Jaao Khayalon Mein
Humain Ye Raat Bhaari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Tumhein Kya Aaj Bhi Koi Agar Milney Nahin Aaya
Ye Baazi Hum Ne Haari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Kahey Jaatey Ho Ro Ro Ke Humara Haal Duniya Say
Ye Kaisi Raaz Daari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Humein To Aaj Ki Shab Po Phatey Tak Jaagna Ho Ga
Yehi Qismat Humari Hai, Sitaro Tum To So Jaao

Humein Bhi Neend Aa Jaye Gi, Hum Bhi So Hi Jayein Gey
Abhi Kuch Be-qaraari Hai, Sitaro Tum To So Jaao !

3 comments:

  1. ye Jagjit singh ki gazal hai. Achi lagi so socha sahre hi ker lun....

    ReplyDelete
  2. nahi suni to nahi. aik site pe parhi thi....

    ReplyDelete